देखते रहे वो मंजिलों के सपने,
पर रास्ते सपनों में दिख न पाए.
खाते रहे वो कुछ करने की कसमें,
पर स्वार्थ को रास्ते से हटा न पाए.
कहते रहे वो की कल से शुरू करेंगे,
पर कल के बारे में कल से ही पूछते रहे.
अब ये कल कब आएगा, न उन्हें पता है न मुझे,
इसी उलझन में राष्ट्र उलझते रहे.
ऊँचाई पर पहुँचने की बड़ी जल्दी है उन्हें ,
पर गहराई का डर भी वो मिटा न पाए.
आसमान में उड़ना भाता है उन्हें,
पर जमीनी हकीकत भी वो समझ न पाए.
---------------------------------------------
Dekhte Rahe Wo Manjilon Ke Sapne,
Par Raste Sapnon Mein Dikh Na Paaye.
Khate Rahe Wo Kuch Karane Ki Kasmein,
Par Swarth Ko Wo Raste Se Hata Na Paaye.
Kahte Rahe Wo Ki Kal Se Shuru Karenge,
Par Kal Ke Baare Mein Bhi Kal Se Hi Poochte Rahe.
Ab Ye Kal Kab Aayega Na Unhein Pata Hai, Na Mujhe,
Isi Uljhan Mein Rashtra Bhi Ulajhte Rahe.
Unchai Par Pahunchne Ki Jaldi Hai Unhein,
Par Gahrai Ka Darr Abhi Wo Mita Na Paaye.
Aasmaan Mein Udna Bhaata Hai Unhein,
Par Jameeni Haqueeqat Bhi Wo Samajh Na Paaye.
Uljhan
Author: Secret Swan Posted under:
deepank,
deepank singhal,
hindi poetry,
secret swan,
secretswan,
Uljhan

0 comments:
Post a Comment